Humour: Bura Na Mano Holi Hai – a humorous take on Bollywood and its superstars
As the world celebrates Holi – the festival of colours that signals the arrival of Spring in India bringing love.
A festival that asks us to play and laugh, forget and forgive, and make amends repair broken relationships.
Here is a light-hearted take on Bollywood and its superstars in the masti joyous spirit of Holi.
Bura na mano holi hai
Khali bollywood ki jholi hai
Kab se chali aa raahi audience se aankh micholi hai
Phir bhi nahi khatam hoti inki bad booli hai
Bura na mano holi hai
Khiladi Akshay Kumar box office par bane super anari
Ab Canada mein stage shows or India mein reality shows kar ke uthayeinge apne ghar ki zimmedari
Bechara Khiladi
Pathaan ne khol di Shah Rukh Khan ki band hui stardom ki dukan
Khade hai seena taan
Bechare Aamir Khan ab kaise karu wapsi
Yeh soch kar ho rahe hai pareshan
Kisi Ka Bhai Kisi Ki Jaan
Pyare Salman Khan
Agar nahi chali yeh film
Aur sabit hui bheegi ‘billi’
Toh kareinge ‘bhai’ sanyas ka elaan
Aur agar chali
Toh phir se sabit ho jayega ki
Allah Meharban toh Gadha Pehalwan.
Kartik Aaryan ki touted (bahucharchit) action bonanaza Shehzada ki do din mein khatam hui kahani
Ab Bhool Bhulaiya 3 mein phir se kho jayeinge yeh pyar ka punchnama se famous hue dilbar jani
Deepika Padukone ab bikhereinge Oscar award mein apne jalwe
Haqiqat mein Deepika ko chune chahiye boycott Bollywood ke himatiyon ke talwe.
Badnaam hoke maqam haasil karne ki
Isse badi misaal filhaal nahi milegi
Chal rahi aankh micholi hai
Khali bollywood ki jholi hai
Bura na mano holi hai